chaman ki KHak pe mauj-e-bala ne raqs kiya
lipaT ke shoala-e-gul se saba ne raqs kiya
na puchh dida-e-hairan se tu darun-e-qaba
wo chiz kya thi ki band-e-qaba ne raqs kiya
khile gulab to KHushbu ne daf bajae hain
zamin to KHair zamin hai faza ne raqs kiya
izafa wahshat-e-dasht-e-bala mein karne ko
hamare ret ke ghar mein hawa ne raqs kiya
dayar-e-ruh mein wo habs tha ki kuchh mat puchh
hua jo zikr-e-mohammad hawa ne raqs kiya

Ghazal
Chaman ki KHak pe mauj-e-bala ne raqs kiya
Shafaq Sopori