chaman ka zikr kya ab to KHuda ko yaad karte hain
KHushi sayyaad ko hoti hai jab fariyaad karte hain
na sharmao agar hum shikwa-e-bedad karte hain
mohabbat hai tumhaari aadaton ko yaad karte hain
hamari dastan-e-gham rulati hai zamane ko
wo hum hain jo zaban ghair se fariyaad karte hain
KHuda aabaad rakhe ham-safiran-e-gulistan ko
jo koi phul khulta hai to hum ko yaad karte hain
asiran-e-qafas KHud bhi bahut kuchh kah guzarte hain
chaman ke tazkire aapas mein jab sayyaad karte hain
nahin malum main kis haal mein hun bagh-e-alam mein
qafas wale bhi mujh ko dekh kar fariyaad karte hain
KHud un ka husn meri dad-KHwahi un se karta hai
wo aaina liye hain aur mujh ko yaad karte hain
adu sayyaad gulchin kyun ho mere nasheman ke
ye tinke bhi hain is qabil jinhen barbaad karte hain
lahad par chalne wale tham ki hum kuchh kah nahin sakte
zamin rakhti hai munh par hath jab fariyaad karte hain
wo KHuban jahan ashkon se jin ka husn sincha tha
wahi baad-e-fana miTTi meri barbaad karte hain
sar-e-gor-e-ghariban kuchh na puchho haal-e-dil 'saqib'
zamana jin ko bhula hai hum un ko yaad karte hain
Ghazal
Chaman ka zikr kya ab to KHuda ko yaad karte hain
Saqib Lakhnavi