chaman-e-lala ye ulfat teri dikhlati hai
sainkaDon dagh hain aur ek meri chhati hai
garche tuti bhi hai shirin-suKHani mein mumtaz
par teri baat ki lazzat ko kahan pati hai
badli aa jati hai is lutf se KHurshid pe kam
zulf munh par tere jis aan se khul jati hai
gul hi tanha na KHajil hai ruKH-e-rangin se tere
nargis aankhon ke tere samne sharmati hai
main kahan aur tera wasl ye hai bas ai gul
gah be-gah teri bu to saba lati hai
raat thoDi si hai bas jaane de mil hans kar bol
na-KHushi ta-ba-kuja subh hui jati hai
raushni KHana-e-ashiq ki hai tujh se warna
tu na ho to shab-e-mahtab kise bhati hai
sadgi dekh to dil us se kare hai yari
nagani dekh ke jis zulf ko bal khati hai
mah-ruKHan kya hain ki ho aa ke muqabil 'bedar'
kanpti samne jis shoKH ke barq aati hai
Ghazal
Chaman-e-lala ye ulfat teri dikhlati hai
Meer Mohammadi Bedar