chaman chaman jo ye subh-e-bahaar ki zau hai
tere tabassum-e-rangin ka ek partaw hai
KHizan ki raat ke qatil kahan gae dekhen
ki jo lahu hai charagh-e-bahaar ki lau hai
chale na sath zamana to is ko yun kahiye
Thahar gaya hai musafir ki jada-e-nau hai
bujha hai dil to na samjho ki bujh gaya gham bhi
ki ab charagh ke badle charagh ki lau hai
meri zamin pe jabin-e-araq-araq ke siwa
na qatra-e-mai-e-rangin na dana-e-jau hai
sawal waqt ki parchhaiyon se hum bhi karen
hamare dil mein bhi halka sa ek partaw hai
kaTe jo tirgi-e-sham-e-gham to kaise 'shamim'
KHafa KHafa si kisi ke KHayal ki zau hai
Ghazal
Chaman chaman jo ye subh-e-bahaar ki zau hai
Shamim Karhani