chamakte suraj uchhaalte the kahan gae wo
jo shamen subhon mein Dhaalte the kahan gae wo
badan mein larzish ki din Dhala ja raha hai phir se
jo din se gardish nikalte the kahan gae wo
abhi to hathon mein hiddaten un ke hath ki hain
abhi to hum ko sambhaalte the kahan gae wo
utarte the ghubar-e-lail-o-nihaar ruKH se
aur aainon ko ujalte the kahan gae wo
wo shaKHche chhu ke sabz karne ke fan se waqif
jo phul hathon mein palte the kahan gae wo
jo ism paDhte the raushni ka siyah-shabon mein
jo lau charaghon mein Dalte the kahan gae wo

Ghazal
Chamakte suraj uchhaalte the kahan gae wo
Ehsan Asghar