chamakte chand se chehron ke manzar se nikal aae
KHuda hafiz kaha bosa liya ghar se nikal aae
ye sach hai hum ko bhi khone paDe kuchh KHwab kuchh rishte
KHushi is ki hai lekin halqa-e-shar se nikal aae
agar sab sone wale mard aurat pak-tinat the
to itne jaanwar kis tarah bistar se nikal aae
dikhai de na de lekin haqiqat phir haqiqat hai
andhere raushni ban kar samundar se nikal aae
Ghazal
Chamakte chand se chehron ke manzar se nikal aae
Fuzail Jafri