chalte rahne ke liye dil mein guman koi to ho
be-natija hi sahi par imtihan koi to ho
aasmanon ke sitam sahti hain is ke bawajud
sab zaminen chahti hain aasman koi to ho
mehrbanon hi se bach kar aae the tum dasht mein
ab yahan bhi lag raha hai mehrban koi to ho
qahqahon ko yaad rakhti hi nahin duniya kabhi
is liye dukh ki bhi pyare dastan koi to ho
kar raha hun main daraKHton se musalsal guftugu
is ghane jangal mein 'danish' ham-zaban koi to ho
Ghazal
Chalte rahne ke liye dil mein guman koi to ho
Madan Mohan Danish