chalte chalte chale aae hain pareshani mein
KHwab to dab chuke is kuche ki virani mein
toD kar panw paDe hain ki wo himmat na rahi
uDte baadal the kabhi chaak-girebani mein
hijr ki rah mein chalte rahe girte-paDte
sath kuchh bhi na liya be-sar-o-samani mein
us shahanshah ko main kaise shahanshah kahun
sarhaden TuTti hon jis ki jahanbani mein
pahunche manzil pe to hasil tha faqat yas-o-hiras
umr ek bit gai silsila jumbani mein
us ke jaane pe ye ehsas hua hai 'shahid'
wo jazira tha mera dukh se bhare pani mein
Ghazal
Chalte chalte chale aae hain pareshani mein
Siddiq Shahid