chalegi na ai dil koi ghat hargiz 
nahin un se hogi mulaqat hargiz 
bahut koshish-e-zabt ki hum ne lekin 
Thaharte nahin dil mein jazbaat hargiz 
tu buqraat-e-dauran hai naseh magar hum 
sunenge na tere maqalat hargiz 
jo jaan-baziyon ki chale chaal us ko 
bisat-e-wafa par na ho mat hargiz 
umidon ke jugnu chamakte hain lekin 
na Thahrenge dam bhar ye lamat hargiz 
hai kya zist kya hasil-e-zindagi hai 
nahin hote hal pe sawalat hargiz 
wo chamka karen lakh par ho sakenge 
muqabil na suraj ke zarraat hargiz 
hamara hai haqq-e-wafa den na den par 
na mangenge hum un se KHairaat hargiz 
tan-asano ulfat se baz aao tum se 
uThenge na gham ke suubaat hargiz 
nakirain aae hain kuchh kah ke Talo 
Talenge na warna ye hazraat hargiz 
ghalat baat hai par ye lagta hai jaise 
kaTegi na ab hijr ki raat hargiz 
na ghabrao tum aarzi hain ye aansu 
musalsal na hogi ye barsat hargiz 
ziyan bhi uThae hain par hum ne yaro 
nahin dil mein rakkhi koi baat hargiz 
wo guzri hai hum par jo majnun pe guzri 
badalte nahin gham ke haalat hargiz 
dil-e-'kaif' hai ek rabab-e-shikasta 
uThenge na ab is se naghmat hargiz
        Ghazal
Chalegi na ai dil koi ghat hargiz
Saraswati Saran Kaif

