chale gae ho sukun-o-qarar-e-jaan le kar
hum apne dard ko jaen kahan kahan le kar
bahut dinon mein mila hai payam-e-mausam-e-gul
nasim-e-subh chali hai kashan kashan le kar
ab apne apne muqaddar pe baat Thahri hai
uTha hai abr-e-guhar-bar bijliyan le kar
yahan na main hun na tu hai na koi shahnai
pahunch gai hai teri aarzu kahan le kar
nae hain jism ke taron pe ruh ke naghme
uThe hain bazm se ek kaif-e-jawedan le kar
gham-e-hayat ne fursat na di sunane ki
chale the hum bhi mohabbat ki dastan le kar
Ghazal
Chale gae ho sukun-o-qarar-e-jaan le kar
Hasan Tahir