اردو हिंदी
Chal man liya sahab-e-kirdar nahin hun | Shaahi Shayari
chal man liya sahab-e-kirdar nahin hun

Ghazal

Chal man liya sahab-e-kirdar nahin hun

Khalid Khwaja

;

chal man liya sahab-e-kirdar nahin hun
par teri tarah hazir-e-darbar nahin hun

dushman hai musafir to use saf bata do
diwar hun main saya-e-diwar nahin hun

atraf mein har chiz ka idrak hai mujh ko
KHwabon mein ghira dida-e-bedar nahin hun

KHamosh hi rahna hai mere waste behtar
main aap ka pairaya-e-izhaar nahin hun

ab to hadaf-e-sang-e-malamat na banao
ab to main sar-e-kucha-e-dildar nahin hun

dil toDne wale ko KHabar ho ki abhi main
sar-ta-ba-qadam ek dil-e-bimar nahin hun