chaarasazon ki aziyyat nahin dekhi jati
tere bimar ki haalat nahin dekhi jati
dene wale ki mashiyyat pe hai sab kuchh mauquf
mangne wale ki hajat nahin dekhi jati
din bahal jata hai lekin tere diwanon ki
sham hoti hai to wahshat nahin dekhi jati
tamkanat se tujhe ruKHsat to kiya hai lekin
hum se in aankhon ki hasrat nahin dekhi jati
kaun utra hai ye aafaq ki pahnai mein
aaina-KHane ki hairat nahin dekhi jati
Ghazal
Chaarasazon ki aziyyat nahin dekhi jati
Parveen Shakir