chaar unsur se bana hai jism-e-pak
hain ye chaaron baad-o-atish aab-o-KHak
az pai-takmil-e-tahqiqat-e-ilm
ho gaya lazim KHali ka ishtirak
aql-o-dil izad ho kar ho gae
shash-jihat-o-haft-manzil tabnak
jab iradat se hua us ka zuhur
aa gaya pindar ka gardish mein chaak
ruh-e-azam se huwaida ho gai
wo iradat jis ne dam ki ruh-e-pak
ruh-e-azam kya hai wo zat-e-qadim
hai zaban-e-ilm mein jo jaan-e-pak
wahdat-o-kasrat mein 'sahir' hai ayan
jaan ya nur-e-qadam ya zat-e-pak

Ghazal
Chaar unsur se bana hai jism-e-pak
Sahir dehlavi