chaar-su sail-e-sipah-e-mah-o-aKHtar tera
sarhad-e-shab se guzarta hua lashkar tera
be-karan tu hi mahakat-e-shab-o-roz mein hai
dasht-e-zulmat tera rahwar-e-munawwar tera
kurra-e-baad pe sad-rang manazir tere
halqa-e-arz mein yak-naqsh samundar tera
harf-e-qirtas jihat-gir hai tafsir teri
aks-e-aina-e-aurang hai jauhar tera
dam-e-girdab mein biphri hui maujen teri
tah mein pani ki giran-maya-e-gauhar tera
Ghazal
Chaar-su sail-e-sipah-e-mah-o-aKHtar tera
Mohammad Ahmad Ramz