اردو हिंदी
Chandni ke hath bhi jab ho gae shal raat ko | Shaahi Shayari
chandni ke hath bhi jab ho gae shal raat ko

Ghazal

Chandni ke hath bhi jab ho gae shal raat ko

Akhtar Imam Rizvi

;

chandni ke hath bhi jab ho gae shal raat ko
apne sine par sambhaala main ne bojhal raat ko

raat bhar chhaya raha ghar ki faza par ek hiras
dastaken deta tha dar par koi pagal raat ko

chandni mein ghul gaya jab dil ki mayusi ka zahr
main ne KHud kafna diya sayon mein komal raat ko

karb ke lawe ubalte the sukun ke aas-pas
uf wo ninden wo giran-KHwabi ki daldal raat ko

aaj phir dhundla gai 'aKHtar' meri sham-e-firaq
sochta hun aaj phir barsenge baadal raat ko