chand viran hai sadiyon se mere dil ki tarah
zindagi gham hai KHala mein meri manzil ki tarah
kurra-e-arz hai ek markaz-e-hangama-e-shauq
bahr-e-be-ab mein tahzib ke sahil ki tarah
zarra-e-KHak se hai shoala-e-jauhar ki numud
jis ne suraj ko bhi dekha hai muqabil ki tarah
kal ke changez-o-halaku hain pas-e-parda-e-KHak
surKH-ru the jo kabhi KHanjar-e-qatil ki tarah
mere qadmon ke nishan chand pe raKHshanda hain
aap aa jaiye aawara-e-manzil ki tarah
girah-e-sham-o-sahar ahl-e-KHirad se na khuli
zindagi aaj bhi hai uqda-e-mushkil ki tarah

Ghazal
Chand viran hai sadiyon se mere dil ki tarah
Rifat Sarosh