chand un aankhon ne dekha aur hai
shahr-e-dil pe jagmagata aur hai
lams ki wo raushni bhi bujh gai
jism ke andar andhera aur hai
ai samundar rasta dena mujhe
lauh-e-jaan pe nam likkha aur hai
wo jo chiDiya nachti hai shaKH par
us ke andar ek chiDiya aur hai
moD par ruk jae ki kachchi saDak
sath chalta hai wo rasta aur hai
hijr ke sae na taswir-e-KHizan
yar us ke ghar ka rasta aur hai
taliyon se hall sara bhar gaya
jaanta hun sher sachcha aur hai
Ghazal
Chand un aankhon ne dekha aur hai
Jayant Parmar