chand-suraj na sahi ek diya hun main bhi
apne tarik makanon mein jala hun main bhi
apne aslaf ki azmat se juDa hun main bhi
apni tahzib ki muTThi mein daba hun main bhi
tum bhi girti hui diwar ko kandha de do
apne pairon pe isi tarah khaDa hun main bhi
meri KHamoshi-e-lab ka hai sada se rishta
ye na samjhe koi be-saut-o-sada hun main bhi
koi DhunDe mere chehre pe thakan ke aasar
waqt ke sath to ek umr chala hun main bhi
jaane kab kis ke sanwarne ka irada jage
is liye surat-e-aina raha hun main bhi
jhuk ke milne ki azal hi se hai fitrat 'shaiq'
garche sar-basta-e-dastar-e-ana hun main bhi

Ghazal
Chand-suraj na sahi ek diya hun main bhi
Shaiq Muzaffarpuri