chand sa chehra kuchh itna bebak hua
ek hi pal mein shab ka daman chaak hua
ghar ke andar sidhe sachche log mile
beTa pardesi ho kar chaalak hua
darwazon ki raaten chaukidar huin
aur ujala jismon ki poshak hua
jo aaya ek dagh laga kar chala gaya
us ne chhua to mera daman pak hua
mausam ne aawaz lagai KHushbu ko
titli ka dil phulon ki imlak hua
mere jism se waqt ne kapDe noch liye
manzar manzar KHud meri poshak hua
Ghazal
Chand sa chehra kuchh itna bebak hua
Azm Shakri