اردو हिंदी
Chand phir taron ki ujli rezgari de gaya | Shaahi Shayari
chand phir taron ki ujli rezgari de gaya

Ghazal

Chand phir taron ki ujli rezgari de gaya

Iftikhar Naseem

;

chand phir taron ki ujli rezgari de gaya
raat ko ye bhik kaisi KHud bhikari de gaya

Tankti phirti hain kirnen baadalon ki shaal par
wo hawa ke hath mein goTa kanari de gaya

kar gaya hai dil ko har ek wahime se be-niyaz
ruh ko lekin ajab si be-qarari de gaya

shor karte hain parinde peD kaTta dekh kar
shahr ke dast-e-hawas ko kaun aari de gaya

us ne ghayal bhi kiya to kaise patthar se 'nasim'
phul ka tohfa mujhe mera shikari de gaya