chand ne apna dip jalaya sham bujhi virane mein
us ki basti dur hai shayad der hai us ke aane mein
kya patthar ki bhaari sil hai ek ek lamha mazi ka
dekho dab kar rah jaoge itna bojh uThane mein
us ko nahin dekha hai jis ne mujh ko bhala kya samjhega
in aankhon se guzarna hoga mere dil tak aane mein
apni zat se kuchh nisbat thi wo bhi is ki KHatir se
mera zikr nahin milta hai ab mere afsane mein
ek hi dukh tha mera apna wo bhi is ko saunp diya
aaKHir dil ki baat zaban tak aa hi gai anjaane mein
ab to tum bhi jaan gai ho tum ko kya sukh milta tha
mere ghar ke kaam mein meri man ka hath baTane mein
meri raaton mein mahke hain jo sapnon ki Dali se
rang hai in phulon ka shamil aaj tere sharmane mein
jis se baat bhi karni mushkil wo bhi is mahfil mein hai
'mushaf' kaisa lutf rahega us ko sher sunane mein

Ghazal
Chand ne apna dip jalaya sham bujhi virane mein
Mushaf Iqbal Tausifi