chand manga na kabhi hum ne sitare mange
bas wo do din jo tere sath guzare mange
sirf ek dagh-e-tamanna ke siwa kuchh na mila
dil ne kiya soch ke nazron ke ishaare mange
hum ne jab jam uThaya hai to wo yaad aaya
jis ki KHatir mai-o-mina ke sahaare mange
Dhal gai raat to KHwab-e-ruKH-e-jaanan TuTa
bujh gaya chand to aankhon ne sitare mange
uTh gai aankh to gardab ka dil Dub gaya
khul gai zulf to maujon ne kinare mange
raat wo hashr gulistan mein uTha hai yaro
subah har phul ne shabnam se sharare mange
Ghazal
Chand manga na kabhi humne sitare mange
Shahid Akhtar