chand ki kagar raushan
shab ke baam-o-dar raushan
ek lakir bijli ki
aur rahguzar raushan
uDte phirte kuchh jugnu
raat idhar udhar raushan
raat kaun aaya tha
kar gaya sahar raushan
phul qumqumon jaise
titliyon ke par raushan
laDkiyon se galiyari
khiDkiyon se ghar raushan
apne-ap ko ya-rab
ab to hum pe kar raushan
main daraKHt andha hun
de mujhe samar raushan
sher mat suna 'alwi'
dagh-e-dil na kar raushan
Ghazal
Chand ki kagar raushan
Mohammad Alvi