chand gum-sum chamakta hua aur main
yaad ka bab khulta hua aur main
kuchh ajab sa tha manzar gai raat ka
dur ghaDiyal bajta hua aur main
hanpta kanpta shahr ka rasta
dastan apni kahta hua aur main
koi sunta nahin shor tanhai ka
ek dil hai dhaDakta hua aur main
muKHtalif hauke bhi ek jaise lage
ek baadal bhaTakta hua aur main
baiThiye kis jagah jaiye ab kahan
har taraf KHar ugta hua aur main
ghar ke chhoTe se ek aaine mein 'sadaf'
mera chehra badalta hua aur main

Ghazal
Chand gum-sum chamakta hua aur main
Sadaf Jafri