اردو हिंदी
Chand chhune ki talabgar nahin ho sakti | Shaahi Shayari
chand chhune ki talabgar nahin ho sakti

Ghazal

Chand chhune ki talabgar nahin ho sakti

Daniyal Tareer

;

chand chhune ki talabgar nahin ho sakti
kya meri KHak chamakdar nahin ho sakti

ho na ho apni basarat ne mujhe roka hai
ghaib jate hue diwar nahin ho sakti

jitni peDon mein nazar aati hai taqlib ke baad
ye zamin itni pur-asrar nahin ho sakti

main ne DhunDa hai charaghon ki lawon mein tujh ko
tu sitare mein numudar nahin ho sakti

ye zaminon pe lahakti hui gandum ki mahak
aasmanon ki taraf-dar nahin ho sakti

main kise KHwab sunane ke liye aaya hun
shab agar nind se bedar nahin ho sakti

jis ne aansu pe qanaat ka chalan sikha ho
wo nazar KHugar-e-dinar nahin ho sakti