chaak-e-dil bhi kabhi silte honge
log bichhDe hue milte honge
roz-o-shab ke unhi viranon mein
KHwab ke phul to khilte honge
naz-parwar wo tabassum se kahin
silsile dard ke milte honge
hum bhi KHushbu hain saba se kahiyo
ham-nafas rose na milte honge
subh zindan mein bhi hoti hogi
phul maqtal mein bhi khilte honge
ajnabi shahr ki galiyon mein 'ada'
dil kahan log hi milte honge
Ghazal
Chaak-e-dil bhi kabhi silte honge
Ada Jafri