chaak daman bhi hua chaak-e-gareban ki tarah
aankh barse hai shab-e-gham abr-e-baran ki tarah
wae qismat chha gai KHamoshi dil mein kis qadar
bujh gaya hun main charagh-e-gor-e-viran ki tarah
us gul-e-raana ki ulfat chhup nahin sakti kabhi
ubhra hai dagh-e-wafa mehr-e-daraKHshan ki tarah
hai karamat ishq ki pahuncha main baam-e-arsh tak
goya ek darwesh hun main ahl-e-irfan ki tarah
in ke wade ne mujhe baKHsha hai zauq-e-zindagi
khil gaya dil ghuncha-e-jashn-e-bahaaran ki tarah
puchh mat mujh se hai kaisi lazzat-e-soz-e-darun
jaan-gudazi hai meri sham-e-farozan ki tarah
ghar nahin daulat nahin hurmat nahin satwat nahin
hum bhi kya aawara hain gardun-e-gardan ki tarah
mahfil-e-yaran nahin bazm-e-bahaaran bhi nahin
hum jiye hain sakin-e-shahr-e-KHamoshan ki tarah
bekasi chashm-e-falak ne dam-ba-dam dekhi meri
duniya mein aajiz kahan mujh KHana-viran ki tarah
afsar-e-KHuban 'jalali' Thahra hai jab se koi
gulshan-e-dil zeba hai firdaus-e-rizwan ki tarah

Ghazal
Chaak daman bhi hua chaak-e-gareban ki tarah
Rauf Yasin Jalali