chahti hai aaKHir kya aagahi KHuda-malum 
kitne rang badlegi zindagi KHuda-malum 
kal to KHair ai rahbar tere sath rahraw the 
aaj kis pe hansti hai gumrahi KHuda-malum 
ab bhi subh hoti hai ab bhi din nikalta hai 
ja chhipi kahan lekin raushni KHuda-malum 
rasti gurezan hai aashti hirasan hai 
kis se kis se uljhega aadmi KHuda-malum 
ab to waqt aaya hai Dub kar ubharne ka 
kitni kashtiyan Dubin aur abhi KHuda-malum 
zauq-e-naghma-e-pairai tu hi baDh ke de aawaz 
kab se gharq-e-hairat hai KHamushi KHuda-malum 
sirf bhik mangi thi hum ne aadamiyat ki 
kyun biphar gae 'yaqub' muddai KHuda-malum
        Ghazal
Chahti hai aaKHir kya aagahi KHuda-malum
Yaqoob Usmani

