chahte hain ghar buton ke dil mein hum
hain junun ki aaKHiri manzil mein hum
git gate hain qafas manzil mein hum
koste jate hain lekin dil mein hum
ye to mat mahsus hone dijiye
ajnabi hain aap ki mahfil mein hum
mai-kade ke chor-darwaze bhi hain
aa to jaen shaiKH ki manzil mein hum
KHud-farebon ko payam-e-agahi
mubtala hain sai-e-la-hasil mein hum
dur se aata hai mubham sa jawab
den use aawaz jis manzil mein hum
rok len palkon pe aansu ki tarah
kya samo den mauj ko sahil mein hum
sochiye aaKHir wo kya haalat hain
ja rahe hain kucha-e-qatil mein hum
ji na maila kijiye fariyaad par
hain pasheman aap-apne dil mein hum
hum ghalat rujhan rakhte the ki aap
aap se puchhenge mustaqbil mein hum
na-shanasan-e-adab ke hath se
'shad'-sahib hain baDi mushkil mein hum
Ghazal
Chahte hain ghar buton ke dil mein hum
Shaad Aarfi