chahiyen mujh ko nahin zarrin qafas ki putliyan
aashiyan jaanun jo howen KHar-o-KHas ki putliyan
ho gain be-rang jab agle baras ki putliyan
KHun ro kar hum ne kin rangin qafas ki putliyan
hai ye fauladi qafas mujh na-tawan ka kya karun
kis tarah toDun nahin hain mere bas ki putliyan
kya KHuda ki shan hai aati hai jab fasl-e-bahaar
sab hari ho jati hain mere qafas ki putliyan
jab kabhi kunj-e-qafas mein ki hai main ne aah-e-garm
mom ho kar bah gai hain pesh-o-pas ki putliyan
ghar qafas ko main samajhta hun asiri ko murad
jaanta hun apni aahon ko hawas ki putliyan
paTriyan mere qafas ki shaKH-e-gul se kam nahin
loch ye dekha na dekhin aisi ras ki putliyan
gunjne lagta hai ye bhi jab fughan karta hun main
nasb hain mere qafas mein kya jaras ki putliyan
dekhiye shauq-e-asiri mein jakaDne ke liye
ho gain resham ka lachha sab qafas ki putliyan
ro rahi hai dekh kar laila jo us ko ai 'sharaf'
pasliyan majnun ki hain mere qafas ki putliyan
Ghazal
Chahiyen mujhko nahin zarrin qafas ki putliyan
Agha Hajju Sharaf