chahat mein aasman ki zamin ka nahin raha
kya bad-nasib tha wo kahin ka nahin raha
duniya ke inhimak mein din ka nahin raha
ghar us ka jis jagah tha wahin ka nahin raha
ye aur baat hai ki hamein e'tibar ho
warna zamana aaj yaqin ka nahin raha
han kah ke apni jaan bachane lage hain log
yani ki ab zamana nahin ka nahin raha
peshaniyon pe naqsh to sajde ka ban gaya
lekin kahin nishan jabin ka nahin raha
'jawed' apne fikr o nazar aasman se la
pyare zamana KHak-nashin ka nahin raha

Ghazal
Chahat mein aasman ki zamin ka nahin raha
Khawaja Javed Akhtar