chahat ki nazar aap se Dali bhi gai hai
hasrat kisi aashiq ki nikali bhi gai hai
tum ne kisi bimar ko achchha bhi kiya hai
haalat kisi bigDe ki sambhaali bhi gai hai
tum khel samajhte ho magar ye to batao
aah-e-dil-e-muztar kabhi KHali bhi gai hai
kya KHak karun mein KHalish ishq ka shikwa
ye phans kabhi tum se nikali bhi gai hai
jhagDe bhi kahin rashk-e-raqabat ke miTe hain
ulfat mein kabhi KHam-KHayali bhi gai hai
'muztar' ko kabhi husn ka sadqa bhi diya hai
ye bhik kabhi aap se Dali bhi gai hai
Ghazal
Chahat ki nazar aap se Dali bhi gai hai
Muztar Khairabadi