chahat ka sansar hai jhuTa pyar ke sat-samundar jhuT
sari duniya bol rahi hai kitne sundar sundar jhuT
ashkon ko moti kahta hun ruKHsaron ko phul
main lafzon ka saudagar hun mere bahar andar jhuT
khoTe sikke le kar ghumen hum donon bazaron mein
teri aankh ke moti jhuTe mere man ka mandir jhuT
main ne kaha jalwon ka maskan ujle chehre unchi zat
sab ne kaha tum sach kahte ho bola ek qalandar jhuT
duniya bhar mein ek haqiqat sachcha ek wajud 'rashid'
warna sare jangal parbat sahra aur samundar jhuT

Ghazal
Chahat ka sansar hai jhuTa pyar ke sat-samundar jhuT
Rasheed Qaisrani