اردو हिंदी
Bunden paDi thin chhat pe ki sab log uTh gae | Shaahi Shayari
bunden paDi thin chhat pe ki sab log uTh gae

Ghazal

Bunden paDi thin chhat pe ki sab log uTh gae

Raj Narayan Raaz

;

bunden paDi thin chhat pe ki sab log uTh gae
qudrat ke aadmi se ajab silsile rahe

wo shaKHs kya hua jo muqabil tha! sochiye!
bas itna kah ke aaine KHamosh ho gae

is aas par ki KHud se mulaqat ho kabhi
apne hi dar pe aap hi dastak diya kiye

patte uDa ke le gai andhi hawa kahin
ashjar be-libas zamin mein gaDe rahe

kya baat thi ki sari faza bolne lagi!
kuchh baat thi ki der talak sochte rahe

har sansanati shai pe thi chadar dhuen ki 'raaz'
aakash mein shafaq thi na pani pe daere

main ne ghazal kahi hai 'munawar' magar kahan!
puchhega 'raaz' kaun! miyan sher kuchh kahe?