اردو हिंदी
Bund ashkon se agar lutf-e-rawani mange | Shaahi Shayari
bund ashkon se agar lutf-e-rawani mange

Ghazal

Bund ashkon se agar lutf-e-rawani mange

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz

;

bund ashkon se agar lutf-e-rawani mange
bulbula aankhon se KHunaba-fishani mange

bahr-e-ulfat mein chala hai to pahle mastul
tir se aah ke kashti-e-duKHani mange

nukta-e-wasl dam-e-arz qalam par rakkhe
bosa chahe to lab-e-shauq zabani mange

ta-qayamat dil-e-bedar sunae har roz
KHwab-e-rahat tera gar roz kahani mange

dil to dil afai-e-gesu wo bala hai kafir
is ka kaTa koi afi bhi na pani mange

tere qadmon ki badaulat hai nishan turbat par
is se baDh kar koi kya mar ke nishani mange

us jawan ke gham-e-hijran ne kiya hai buDha
KHizr bhi dekh ke jis but ko jawani mange

chah mein us mah-e-naKHshab ke shab-o-roz hain gharq
qaz jis ka mah-e-kanan se shabani mange

KHarij imkan se hai 'shahbaz' shahidon ka shumar
koi kis kis ke liye marsiya-KHwani mange