اردو हिंदी
Buton se kuchh na hua jo hua KHuda se hua | Shaahi Shayari
buton se kuchh na hua jo hua KHuda se hua

Ghazal

Buton se kuchh na hua jo hua KHuda se hua

Khalid Hasan Qadiri

;

buton se kuchh na hua jo hua KHuda se hua
dawa se kuchh na bana jo hua dua se hua

bharam daraazi-e-daman-e-yar ka na raha
ajib kaam mere dast-e-na-rasa se hua

dilon ko sabr-o-sukun to na mil saka lekin
koi to kaam teri chashm-e-ba-haya se hua

laga di aag si jangal mein nab-karon ke
ye faeda to meri aatishin-nawa se hua

dilon ko ishq ne baKHshi hayat-e-gham-afza
ajab nishana KHata tir-e-be-KHata se hua

qalandaron ne ulaT di bisat-e-mai-KHana
na rind se hua aur kuchh na parsa se hua

muKHalifon ki bhi jo dushmani se ho na saka
wo kaam ek mere dam-saz-o-ashna se hua

na kuchh bhi kar sake ashab-e-fil the to bahut
jo kuchh hua tere darwesh-e-be-nawa se hua

ghuTan to dil ki rahi qasr-e-marmarin mein bhi
na raushni se hua kuchh na kuchh hawa se hua

wo ek qatl ka ilzam sar pe tha so raha
qisas se na hua kuchh na KHun-baha se hua