buton ki majlis mein shab ko mah-ru jo aur Tuk bhi qayam karta
kunisht viran sanam ko banda brahmnon ko ghulam karta
KHarab KHasta samajh ke tu ne piyare mujh ko abas nikala
jo rahne deta tu gul-ruKHon mein qasam hai meri main nam karta
karoDon dil jo mue paDe hain nikalte KHunin kafan se nalan
qayamat aa jati jo wo qamat gali mein apni KHiram karta
na itne qisse na jang hoti piyare tere milap upar
raqib aapi se zahr khane jo wasl ka tu payam karta
wo sarw-qamat jo muskura kar chaman mein jata to muskura kar
taDapti bulbul sisakti qumri gulon pe hansna haram karta
bhala hua jo naqab tu ne uThaya chehre se hai pari-ru
wagarna sine se dil taDap kar nigah mein aa kar maqam karta
jo zulfen mukhDe pe khol deta sanam hamara to phir ye gardun
na din dikhata na shab bitata na subh lata na sham karta
wo bazm apni thi mai-KHuri ki farishte ho jate mast be-KHud
jo shaiKH-ji wan se bach ke aate to phir main un ko salam karta
'nazir' teri ishaaraton se ye baaten ghairon ki sun raha hai
wagarna kis mein thi tab-o-taqat jo us se aa kar kalam karta
Ghazal
Buton ki majlis mein shab ko mah-ru jo aur Tuk bhi qayam karta
Nazeer Akbarabadi