buto ye shisha-e-dil toD do KHuda ke liye
jo sang-dil ho to kya chahiye jafa ke liye
sawal yar se kaisa kamal-e-ulfat ka
ki ibtida bhi to hai shart intiha ke liye
KHuda se tujh ko sanam mangte to mil jata
magar adab ne ijazat na di dua ke liye
azab-e-atish-e-furqat se kanpta tha dil
hazar shukr jahannam mila saza ke liye
na dil laga ke hua mujh se ishq mein parhez
bigaD gaya jo kisi ne kaha dawa ke liye
mila unhen bhi talawwun mujhe bhi yak-rangi
KHususiyat na rahi sarsar o saba ke liye
KHuda ne kaam diye hain juda juda sab ko
sanam jafa ke liye hain to hum wafa ke liye
jahan-naward rahe hum talash-e-matlab mein
chale na ek qadam ghair-e-muddaa ke liye
mushaira mein paDho shauq se ghazal 'bimar'
ki mustaid hain suKHan-sanj marhaba ke liye
Ghazal
Buto ye shisha-e-dil toD do KHuda ke liye
Sheikh Bimar Ali Bakhsh