اردو हिंदी
Butan jab ki zulf-e-dota bandhte hain | Shaahi Shayari
butan jab ki zulf-e-dota bandhte hain

Ghazal

Butan jab ki zulf-e-dota bandhte hain

Mirza Ibraheem Beg Maqtool

;

butan jab ki zulf-e-dota bandhte hain
girah mein dil-e-mubtala bandhte hain

nahin banti bulbul se apni chaman mein
hum ab aashiyana juda bandhte hain

jafa khinchenge par na haarenge ji ko
ye hum tum se shart-e-wafa bandhte hain

girah de ke sar par jo baalon ka juDa
ye nazuk-badan KHush-ada bandhte hain

har ek tar mein us ke dil-ha-e-ushshaq
baham jama kar ke mila bandhte hain

miyan haal-e-'maqtul' dekha nahin kya
kamar aap kis par bhala bandhte hain