but-e-kafir jo tu mujh se KHafa ho
nahin kuchh KHauf mera bhi KHuda hai
ye dar-parda sitaron ki sada hai
gali-kucha mein gar kahiye baja hai
raqibon mein wo honge surKH-ru aaj
hamare qatl ka beDa liya hai
yahi hai tar us mutrib ka har roz
naya ek rag la kar chheDta hai
shunida kai bawad manind-e-did
tujhe dekha hai huron ko suna hai
pahunchta hun jo main har roz ja kar
to kahte hain ghazab tu bhi 'rasa' hai
Ghazal
But-e-kafir jo tu mujhse KHafa hai
Bhartendu Harishchandra