but-e-ghuncha-dahan pe nisar hun main nahin jhuT kuchh is mein KHuda ki qasam
mera tair-e-dil isi qaid mein hai mujhe zulf ke dam-e-bala ki qasam
nahin bhata mujhe koi rashk-e-pari koi lakh hasin ho bala se meri
mera dil tera aashiq-e-shefta hai mujhe tere hi naz-o-ada ki qasam
mere dil ko zara nahin tab-o-tab ki uThaun tumhaara ye qahr-o-ghazab
mere qatl mein der na chahiye ab tumhein apne hi jaur-o-jafa ki qasam
na to hur hi ko ye mila hai namak na pari hi ke ruKH mein hai aisi chamak
tere samne phike hain shams-o-qamar mujhe tere hi ruKH ki ziya ki qasam
mujhe itr-e-hina ki nahin hai hawa mujhe phulon se hota hai dagh-e-siwa
kabhi nikhat-e-zulf sungha de saba tujhe nafa-e-mushk-e-KHata ki qasam
mere baad sahega na koi bhi gham na uThega kisi se ye ranj-o-alam
karo tark tum aaj se zulm-o-sitam tumhein apni hi mehr-o-wafa ki qasam
kabhi dard se rota ho 'agha' agar to hansi se ye kahta hai wo gul-e-tar
mera man kaha are nala na kar tujhe bulbul-e-naghma-sara ki qasam
Ghazal
But-e-ghuncha-dahan pe nisar hun main nahin jhuT kuchh isMein KHuda ki qasam
Aagha Akbarabadi