bura mat man itna hausla achchha nahin lagta
ye uThte baiThte zikr-e-wafa achchha nahin lagta
jahan le jaana hai le jae aa kar ek phere mein
ki har dam ka taqaza-e-hawa achchha nahin lagta
samajh mein kuchh nahin aata samundar jab bulata hai
kisi sahil ka koi mashwara achchha nahin lagta
jo hona hai so donon jaante hain phir shikayat kya
ye be-masraf KHaton ka silsila achchha nahin lagta
ab aise hone ko baaten to aisi roz hoti hain
koi jo dusra bole zara achchha nahin lagta
hamesha hans nahin sakte ye to hum bhi samajhte hain
har ek mahfil mein munh laTka hua achchha nahin lagta
Ghazal
Bura mat man itna hausla achchha nahin lagta
Aashufta Changezi