bulbul ne jise ja ke gulistan mein dekha
hum ne use har KHar-e-bayaban mein dekha
raushan hai wo har ek sitare mein zuleKHa
jis nur ko tu ne sar-e-kanan mein dekha
barham kare jamiyyat-e-kaunain jo pal mein
laTka wo teri zulf-e-pareshan mein dekha
waiz tu sune bole hai jis rose ki baaten
us roz ko hum ne shab-e-hijran mein dekha
ai zaKHm-e-jigar suda-e-almas se KHu kar
kitna wo maza tha jo namak-dan mein dekha
'sauda' jo tera haal hai itna to nahin wo
kya jaaniye tu ne use kis aan mein dekha
Ghazal
Bulbul ne jise ja ke gulistan mein dekha
Sauda Mohammad Rafi