buland azm ho gaya paron mein kaT aa gai
hawa to aur taeron ki himmaten baDha gai
khilega dil ka phul bhi zara sa intizar kar
abhi ye jaan-faza KHabar saba mujhe suna gai
hisar-e-zat se pare jahan ek aur hai
mujhe ye wusat-e-nazar naya ufuq dikha gai
banae the jo aarzu ne sahilon pe baiTh kar
tamam ret ke wo ghar bas ek mauj Dha gai
hamein to KHauf tha yahi ki KHak kar na den kahin
lagi jo aag ishq ki to aaina bana gai
parae aanchalon mein wo to chhanw DhunDhta raha
idhar hawa-e-be-rahm rida meri uDa gai
chalo ki kal milenge phir ye qisse kal pe chhoD do
zamin pe qumqume jale falak pe raat chha gai
jo 'nusrat' aaj kho gai udasiyon mein do ghaDi
guman sab ko ye hua ghamon se mat kha gai
Ghazal
Buland azm ho gaya paron mein kaT aa gai
Nusrat Mehdi