bul-hawas mein bhi na tha wo but bhi harjai na tha
phir bhi hum bahrupiyon ko KHauf-e-ruswai na tha
aandhiyon ne sab miTa Dale nuqush-e-rah-guzar
ret ke sine pe dagh-e-abla-pai na tha
raat ke kale kunen mein chhup gaya saya mera
is se pahle to kabhi ye rang-e-tanhai na tha
wahm ka paikar tha aawezan dar-o-diwar par
khiDkiyon mein chand mahw-e-jalwa-arai na tha
sabz peDon ke tane kaT kaT ke kyun girne lage
ai hawa main qatl-o-ghaarat ka tamannai na tha
raushni deti thi chamkile badan ki tazgi
warna main chehre ke KHal-o-KHad ka shaidai na tha
kya tar-o-taza tha aab-e-subh se naKHl-e-shafaq
bujhte suraj mein to ye andaz-e-ranai na tha
ek ek kirdar tha apni adakari mein gum
us tamasha-gah mein koi tamashai na tha
mar gaya 'siddiq' koh-e-gham se Takkar mar kar
sar mein sauda tha magar zauq-e-jabin-sai na tha

Ghazal
Bul-hawas mein bhi na tha wo but bhi harjai na tha
Siddique Afghani