bujhte hue charagh farozan karenge hum
tum aaoge to jashn-e-charaghan karenge hum
baqi hai KHak-e-ku-e-mohabbat ki tishnagi
apne lahu ko aur bhi arzan karenge hum
bechaargi ke ho gae ye chaaragar shikar
ab KHud hi apne dard ka darman karenge hum
josh-e-junun se jama-e-hasti hai tar-tar
kyunkar ilaj-e-tangi-e-daman karenge hum
ai chaarasaz dil ki lagi ka hai kya ilaj
kahne se tere sair-e-gulistan karenge hum
kya gham jo hasraton ke diye bujh gae tamam
daghon se aaj ghar mein charaghan karenge hum
'wasif' ka intizar hai tham jao dosto
dam bhar mein tai hudud-e-bayaban karenge hum

Ghazal
Bujhte hue charagh farozan karenge hum
Wasif Dehlvi