bujhe bujhe se sharare mujhe qubul nahin
sawad-e-shab mein sitare mujhe qubul nahin
ye koh-o-dasht bhi aaina-e-bahaar bane
faqat chaman ke nazare mujhe qubul nahin
tumhaare zauq-karam par bahut hun sharminda
murad ye hai sahaare mujhe qubul nahin
misal-e-mauj samundar ki samt lauT chalo
sukun-ba-dosh kinare mujhe qubul nahin
main apne KHun se jalaunga rahguzar ke charagh
ye kahkashan ye sitare mujhe qubul nahin
'shakeb' jis ko shikayat hai khul ke baat kare
Dhake-chhupe se ishaare mujhe qubul nahin
Ghazal
Bujhe bujhe se sharare mujhe qubul nahin
Shakeb Jalali