اردو हिंदी
Bujhane mein hawaon ki shararat kam nahin hoti | Shaahi Shayari
bujhane mein hawaon ki shararat kam nahin hoti

Ghazal

Bujhane mein hawaon ki shararat kam nahin hoti

Jyoti Azad Khatri

;

bujhane mein hawaon ki shararat kam nahin hoti
magar jalte hue dipak ki shiddat kam nahin hoti

koi ja ke bata de un zara nadan logo ko
lagane se kabhi pahre mohabbat kam nahin hoti

nasha aisa chaDha ulfat ka teri mujh pe ai hamdam
agar main chah lun phir bhi mohabbat kam nahin hoti

main suljhati hun ek mushkil to duji samne aae
meri is zindagi se kyun musibat kam nahin hoti

jidhar dekhun wahin charcha hai mandir aur masjid ka
jahan se sochti hun kyun jahaalat kam nahin hoti

yahi main parashn karti hun akele baiTh kar 'jyoti'
sabab kya hai zamane se ye nafrat kam nahin hoti