bujha sa rahta hai dil jab se hain watan se juda
wo sehn-e-bagh nahin sair-e-mahtab nahin
base hue hain nigahon mein wo hasin kuche
har ek zarra jahan kam ze-aftab nahin
wo bagh-o-ragh ke dil-chasp-o-dil-nashin manzar
ki jin ke hote hue KHuld misl-e-KHwab nahin
wo juebar-e-rawan ka tarab-faza pani
sharab se nahin kuchh kam agar sharab nahin
ba-rang-e-zulf pareshan wo mauj-ha-e-rawan
ki jin ki yaad mein raaton ko fikr-e-KHwab nahin
sama rahe hain nazar mein wo mahw-shan-e-haram
haram mein jin ke sitare bhi baryab nahin
watan ka chheD diya kis ne tazkira 'aKHtar'
ki chashm-e-shauq ko phir aarzu-e-KHwab nahin
Ghazal
Bujha sa rahta hai dil jab se hain watan se juda
Akhtar Shirani