bujha ke mujh mein mujhe be-karan banata hai
wo ek amal jo sharar ko dhuan banata hai
na jaane kitni aziyyat se KHud guzarta hai
ye zaKHm tab kahin ja kar nishan banata hai
main wo shajar bhi kahan jo ulajh ke suraj se
musafiron ke liye saeban banata hai
tu aasman se koi baadalon ki chhat le aa
barhana shaKH pe kya aashiyan banata hai
ajab nasib sadaf ka ki us ke sine mein
guhar na hona use raegan banata hai
faqat main rang hi bharne ka kaam karta hun
ye naqsh to koi dard-e-nihan banata hai
na soch 'shad' shikasta-paron ke bare mein
yahi KHayal-safar ko giran banata hai
Ghazal
Bujha ke mujh mein mujhe be-karan banata hai
Khushbir Singh Shaad